|
Banda hoo mai do alam ke AQA ka Mujh par hai saaya do alam ke Sarkar ka
Pyare AQA se hai wajud duniya ka Jo kuch hai isme sab hai Sarkar ka
Chaand par bhi chalta hai hukum Sarkar ka Ye hai ek chita mere Noori-Sarkar ka
Shak ho jae zameen hukum paakar Aap ke Bane mom jaha bhi pada qadam Sarkar ka
Nikal jae laaluch duniya ki izzat aur shoukat ka Bas banke rahoon gada Madani Sarkar ka
Kia hi huaa munawwar aasa Sarkar ka Sahaba guzre veerano se leke aasa Sarkar ka
Noor se milne jaana hai Noor ka Sidra se bhi aage hai jaana Sarkar ka
kabhi ruqsaar-o-zulf ka to kabhi Unki aadaon ka khuda karke zikr bataya rutba Sarkar ka
Kitna mahka mahka hai baagh gul ka Lagta hai aise inpe tapka paseena Sarkar ka
Nalain se ud kar dhool bani tukda badaal ka Banke Rahmat barasta hai karam Sarkar ka
Bana AQA ka pairahan zariya hamari najat ka Owais(raziallahutala)ne jab manga sadqa pairahan-e-Sarkar ka
Unki chamakti ankhein jis me hai jalwa Khuda ka Be parda dekha Noor ko ye hai martaba Sarkar ka
Sitam sahte the Sarkar kafer-o-munafiqo ka Allah Allah(azzawajal)kaisa sabar hai Sarkar ka
Wajd me aane laga pahad uhad ka Jab us par pada khadam Sarkar ka
Mere seene pe pad jae qadam Sarkar ka Milegi qalb ko rahat jab padega qadam Sarkar ka
Kiyun samjhu majboor mai, banda hoon MUQTAAR ka Dono jahaan me hai mujh ko sahara Sarkar ka
Wo Madina jis me hai manzar jannat ka Aur jannat maujud hai jaha Rouza Sarkar ka
Bosa lelu unki nalain-e-paak ka Jaane kab hoga mujh pe ye karam Sarkar ka
Zulf-e-Sarkar ko chumta huva tail niche tap ka Tail ke chashme phute jaha chalna phirna tha sarkar ka
Kiya poochte ho ilm-e-ghaib Sarkar ka Haqeeqi ghaib ke paas aana jana hai Sarkar ka
Tumhara dar hai daftar taqsim-e-rizq ka Deta hai RABB lekin taqsim karna hai Sarkar ka
Dilkhusha mahrab-o-mimbar aur manzar sunehri jaliyon ka SubhanAllah kia khoob hai Darbaar Sarkar ka
Na baaqi raha andhera veeran-o-biabano ka Jab dekha veerano ne muskurana Sarkar ka
Na hogi maa apne bete ki na hoga baap bete ka Nafsa nafsi me karam aade aaiga Sarkar ka
Kia hi khoob rahega manzar hashr ka Jahaan dikhaega RAB-e-Bari martaba Sarkar ka
Sab ki sunte hai boliya ye kanekaramat hai Sarkar ka Sab ki bharte hai jholiyaan ye dast-e-karam hai Sarkar ka
Sarkar ki sana khwani hai zariya najat ka Qabr me bhi karenge sana ghulam Sarkar ka
Noor se jag maga uthe gi qabr door hojaiga andhera qabr ka Janib-e-qabr jab hoga rukh Sarkar ka
Unki amad pe pukar uthu wo aya ghamkhar ghamzadaun ka Phir qadmo me girjaunga dekh kar chehra Sarkar ka
Ungliyaun se behne laga chashma pani ka Jab arz kiye sahaba 'pani' tham kar daman Sarkar ka
Jalwa dekhna chahte ho agar khuda ka To phir dekhlo jalwa mere Madani Sarkar ka
Unka gesu shifa hi nahi toud hai har bala ka Isliye to hazrat-e-khaled rakhte the gesu Sarkar ka
RABB hi bahtar jaane martaba Apne Mahboob ka Hamko samajh me aa nahi sakta martaba Sarkar ka
Bina vasile-e-Rasool-e-Akram pata nahi milega RABB ka Aur bina ghous-o-khaja(raziallahutala) ke pata nahi milega Sarkar ka
Zamin pe na girne dete the sahaba pani wuzu ka Chahre pe mal lete the luaab Sarkar ka
Door hogaya aankh ka marz hazrat-e-ali(raziallahutala) ka Pahle se bahtar nazar aane laga jab laga luaab Sarkar ka
Sag hai jaber unke aashiqo ke dar ka Kaise hoga rusva hokar banda Sarkar ka
|
|
Important Notice:
Mediaislam.com is mainly optimized for Mozilla Firefox Browser.
Please click the button below to download & install it.
It's free, fast and simple to use.
You need real player software to play the media files.
Please click the image to download the free player
|
|