HomeLive BroadcastAudio VideoBooksGalleryLyrics
Members Login | Not yet a member? Sign Up Now! It's Free!
Arabic
Hamd
Qaseeda
Salaam
Mawlid
Urdu
Naat Shareef
Salam
Qawwali Shareef
Hamd & Munajaat
Qaseeda
Ghazal
Mankabats
English
English Praise Songs
Tamil
இறைத் துதி
நாயகம் துதி
உர்து - தமிழ் புகழ்பா
ஸஹாபாக்கள்
இறை நேசர்கள்
புனித நாள்கள்
Punjabi
Naat Shareef
Pegham Saba Laai Hai Gulzaar-E-Nabi Se

Pegham Saba Laai Hai Gulzaar-E-Nabi Se,
Aaya Hai Bulawa Mujhhe Derbar-E-Nabi Se.

Hazir Gadaey Der Hai Shehenshah Assalaam,
Mola Salaam Serwar-E-Zeejah Assalaam.

Aaya Hai Bulawa Mujhhe Derbar-E-Nabi Se.
La Uqsim-E-Balad Key Sazawar Assalaam,

Aey Wadduha Key Mutla-E-Anwar Assalaam,
Donoon Jahan Key Qibla-E-Hajaat Assalaam,

Aey Hashmi-O-Qibla-E-Sadaat Assalaam,
Lakhhon Durood Tum Pe Karoron Salaam Hon,

Mola Mere Azal Se Abad Tak Madaam Hon.

Pegham Saba Laai.......................................,

Aaya Hai Bulawa.........................................

Zahir Nazer To Sabzaey Gumbad Se Shad Hai,
Haan Batni Nazer Ki Abhi Tak Murad Hai.

Aaya Hai Bulawa.........................................

Reh Jaey Ye Kahin Na Tamanna Se Apni Dur,
Is Ko Bhi Shad Kijiye Deedar Se Huzur.

Aaya Hai Bulawa......................................

Wallah Raazdar Hain Teba Ki Baab Key,
Bikhhrey Huwe Waraq Mere Dil Ki Kitab Key.

Aaya Hai Bulawa......................................

Aa Hosh Mein Kahin Bhi Raha Kab Juda Rahey,
Behter Hai Baab-E-Raaz Pe Perda Parha Rahey,

Badli Siyah Gham Ki Mere Dil Pe Chhai Hai,
Teba K Chand Gesuon Waley Dohai Hai,

Honton Pe Jaan Hai Dam-E-Mushkil Kushai Hai,
Mana Gada Bura Hi Sahi, Mustafai Hai.

Aaya Hai Bulawa..................................

Phhirta Hon Thhokron Pe Koi Puchhta Nahi,
Perdey Parhhey Hain Dil Pe Mujhe Sujhta Nahi.

Aaya Hai Bulawa.....................................................

Jee Chahta Nahi K Main Gheron Se Chahon Daad,
Rukhsat Karen Huzur Mujhe Der Se Baa Murad,

Donoon Jahan Mein Jab Ho Musibat Ka Saamna,
Mola Naseeb Ho Tere Daman Ka Thhamna,

Phhir Aaon Jald Khatam Hon Din-E-Ishtiaq Key,
Sehna Parhhen Na Ab Mujhhe Sadme Firaq Key,

Jese Key Pehle Hukm Dia Thha Bulain Gey,
Fermaiye Key Phhir Tujhhe Mehman Banain Gey.

Aaya Hai Bulawa.....................................................

Mola Firaq Mein Lahu Aankhon Se Jari Hai,
Surat Dikhhaiye Key Yahan Dam Shumari Hai,

Sadqey Mein Ahl-E-Bet Key Ashaab O Aal Key,
Din Bhool Ker Gada Pe Na Aain Malal Key,

Shaha Tumhara Daman-E-Rehmat Kafeel Ho,
Roz-E-Jaza Zaleel Na Abdey Jaleel Ho,

Iqrari Mujrimon Ko Nahi Hajat-E-Gawah,
Shan-E-Karam Se Bakhshiye Hazir Hai Ro Siyah.

Aaya Hai Bulawa....................................................[/B]

Daman Tumhara Thham Key Girta Sambhal Gaya,
Berha Mera Tabahi Se Bahir Nikal Gaya.

Aaya Hai Bulawa.......................................

Aankhen Taras Rahi Hain Ziarat Key Wastey,
Aey Afzal-Ul-Basher Teri Surat K Wastey.

Aaya Hai Bulawa.........................................

Jis Ko Ata Huzur Key Der Ki Gadai Ho,
Qabze Mein Us Key Kyun Na Khuda Ki Khudai Ho.

Aaya Hai Bulawa.....................................................[/B]

Dekhha Nahi Hai Rah Mein Takleef Tak Ka Naam,
Aaram Hi Se Laey Muhhe Serwar-R-Anaam,

Mola Qubul Aur Ye Arz-E-Ghulam Ho,
Merney Key Baad Is Ka Madina Maqam Ho.

Aaya Hai Bulawa..........................................

Wallah Do Jahan Ka Isi Dam Pe Zor Hai,
Derbar-E-Ambia Mein Salami Ka Shor Hai,

Aate Malak Hain Arsh Se Khidmat Key Wastey,
Satter Hazar Roz Ziarat Key Wastey,

Hazir Hai Der Pe Aaj To Maqsad Husul Ho,
Serkar Is Gada Ki Salami Qubul Ho.

Aaya Hai Bulawa................................

Dekhhe Meri Nazer Se Koi Aakey Samney,
Kaaba Jhuka Hua Der-E-Wala Key Samney.

[B]Aaya Hai Bulawa.........................................

Per To Se Apne Dil Mera Chamkaiye Huzur,
Taskeen Dijiye Key Hua Qalb Na Subur.

Aaya Hai Bulawa.....................................

Jholi Bharo Murad Se Is Namurad Ki,
Sab Kuch Dia Hai Sirf Tamanna Hai Saad Ki,

Mola Nijat Ka Mujhe Perwana Dijiye,
Donon Jahan Mein Dolat-E-Shahana Dijiye.

Aaya Hai Bulawa..............................................

Pyarey Idher Bhi Aur Karam Ki Koi Nazer,
Ujrhey Huey Basaey Hain Lakhon Key Tumne Ghar.

Aaya Hau Bulawa......................................................

Pegham Aur Salaam Wo Nazdeek O Dur Key,
Lakey Jo Maine Pesh Kiye Hain Huzur Key,

Puchengey Jab Jawab To Kya Lab Pey Laonga,
Mola Main Unkey Saamney Kis Moun Se Jaonga,

Sadir Ho Hukm Sab Ki Tamanna Husul Hai,
Kehdonga Sab Se Sab Ki Salaami Qubul Hai.

Aaya Hai Buala................................................

Qasim Jab Aaey Waqt Terey Ikhtetam Ka,
Jari Ho Lab Pe Wird Salat O Salaam Ka.

Pegham Saba Laai Hai Gulzaar-E-Nabi Se,
Aaya Hai Bulawa Mujhhe Derbaar-E-Nabi Se.

Important Notice:
Mediaislam.com is mainly optimized for Mozilla Firefox Browser. Please click the button below to download & install it. It's free, fast and simple to use.


Google

You need real player software to play the media files. Please click the image to download the free player
© mediaislam.com