HomeLive BroadcastAudio VideoBooksGalleryLyrics
Members Login | Not yet a member? Sign Up Now! It's Free!
Arabic
Hamd
Qaseeda
Salaam
Mawlid
Urdu
Naat Shareef
Salam
Qawwali Shareef
Hamd & Munajaat
Qaseeda
Ghazal
Mankabats
English
English Praise Songs
Tamil
இறைத் துதி
நாயகம் துதி
உர்து - தமிழ் புகழ்பா
ஸஹாபாக்கள்
இறை நேசர்கள்
புனித நாள்கள்
Punjabi
Naat Shareef
Woh Sarware Kishware Risaalat (Miraaj)
Author: Aala Hazrath (رضي الله عنه)

Mere Muhammad – Pyaare – Bane Hai Dulha
Mere Muhammad – Bane Hai Dulha

Woh Sarware Kishware Risalat -  Jo Arsh Par Jalwah Gar Huve Thay
Naay Nirale Tarab Ke Saman - Arab Ke Mehman Ke Liye Thay

Bahaar De Shadiyan Mubarak - Chaman Ko Abadiyan Mubarak
Falak Falak Apni Apni Lay Mein - Yeh Ghur Anadil Ka Boltay Thay

Wahan Falak Par Yahan Zameen Mein - Rachi Thi Shadi Machi Thi Dhoomein
Udhar Se Anwar Hanstay Atay - Idhar Se Nafhat Uth Rahe Thay

Ye Jod Padhti Thi Unke Rukh Ki - Ke Arsh Tak Chandni Thi Chanki
Woh Raat Kya Jag Maga Rahi Thi -  Jaga Jaga Nasb Aayine Thay

Naee Dulhan Ki Phaban Mein Kaaba - Nikhar Kay Sanwra Sanwar Kay Nikhra
Hajar Ke Sadqay Kamar Ke Ek Til - Mein Rang Lakhon Banao Kay Thay

Nazar Main Dulha Kay Pyare Jalway -  Haya Say Mehrab Sar Jhukaaye
Siyah Parday Ke Moon Pe Anchal - Tajalliye Zaat E Bahat Ke Thay

Khushi Ke Badal Umad Ke Aaye - Diloun Ke Taoo Sirang Laaye
Woh Naghmae Naat Ka Sama Tha - Haram Ko Khud Wajd Arahay Thay

Yeh Jhooma Mizab E Zar Ka Jhoomar - Ke Araha Kaan Par Dhalak Kar
Phuwar Barsi To Moti Jhadkar - Hateem Ki Godh Main Bharay Thay

Dulhan Ki Khushboo Se Mast Kapday - Naseem E Gustakh Anchaloun Say
Ghilafe Mushkeen Jo Udh Raha Tha - Ghazaal Naafay Basa Rahe Thay

Pahadiyoun Ka Woh Husn E Tazeen - Woh Unchi Choti Woh Naaz Tamkeen
Sabaaz Sabzay Pay Lehrein Aaein - Dupattay Dhani Chunay Huay Thay

Naha Ke Nehro May Woh Chamakta -  Libas Aabay Rawan Ka Pehna
Ke Mouj E Jhadiyan Ki Dhaar Lachka - Hababe Taban Ke Thal Takay Thay

Purana Purdagh Malgaja Tha - Uthadiya Farsh Chandni Ka
Hujoom E Taaray Nigah Se Koso - Qadam Qadam Farsh Baadlay Thay

Ghubbar Ban Kar Nisar Jaein - Kahan Ab Us Rah Guzar Ko Paein
Hamare Dil Hooryoun Ki Ankhein - Farishtoun Ke Par Jahan Biche Thay

Khuda Hi Day Sabar Jan Pur Gham - Dikhaoon Kyun Kar Tujhe Woh Alam
Jab Unko Jhurmut Mein Lay Ke Qudsi - Jinan Ka Dulha Bana Rahe Thay

Utar Kar Unke Ruq Ka Sadqa - Yay Noor Ka Bat Raha Tha Bada
Ke Chand Sooraj Machal Machal Kar - Jabeen Ki Khairat Mangtay Thay

Wohi To Ab Tak Jhalak Raha Hai - Wohi To Joban Tapak Raha Hai
Nahane Main Jo Gira Tha Pani - Katoray Taron Nay Bhar Liye Thay
Bacha Jo Talwoun Ka Unke Dhowan - Bana Woh Jannat Ka Rang O Roughan
Jinhoun Ne Dulha Ki Pai Utran - Woh Phool Gulzar Noor Ke Thay

Qabr Yeh Teh Weel E Mehr Ki Thi - Ke Rut Suhani Ghadi Phiray Gi
Wahan Ki Poshak Zaib E Tan Ki Yahan - Ka Joda Badha Chukay Thay

Tajalli E Haq Ka Sehra Sar Par - Salat O Tasleem Ki Nichawar
Do Roya Qudsi Paray Jama Kar - Khaday Salami Kay Wastay Thay

Jo Hum Bhi Wahan Hote Qak E Gulshan - Lipat Ke Qadmoun Say Laitay Utran
Magar Karain Kya Naseeb Main To - Yai Namuradi Ke Din Likhay Thay

Abhi Na Aaye Thay Pusht Zeen Tak - Ke Sar Hui Maghfirat Ki Shallat
Sada Shafaat Ne Di Mubarak - Gunah Mastana Jhoom Tay Thay

Ajab Na Tha Raqsh Ka Chamakna - Ghazaal Dam Khurdah Sa Bhadakna
Shuaayn Bukkay Uda Rahee Theen - Tadaptay Ankhon Pe Saayqay Thay

Hujoom Ummed Hai Ghatao - Muradain Day Kar Inhain Hatao
Adab Ki Bagain Liye Badhao - Malaika Main Yai Ghalghalay Thay

Uthi Jo Garde Rahay Munawwar - Woh Noor Barsa Ke Rastay Bhar
Ghiray Thay Badal Bharay Thay Jal Thal - Umad Kay Jungal Ubal Chalay Thay

Sitam Kiya Kaisi Mat Kati Thi - Qamar Woh Qak Un Kay Rah Guzar Ki
Uthana Laya Ke Maltay Maltay - Yai Dagh Sab Dekhna Mitay Thay

Buraq Ke Naqsh Sum Ke Sadqay - Woh Gul Khilaye Ke Saray Rastay
Mehak Tay Bul Bul Lehak Tay Gulshan - Haray Bharay Leh Leha Rahay Thay

Namaze Aqsa Mein Tha Yahi Sir - Ayan Houn Mana Ke Awwal Aaqir
Kay Dast Basta Hain Peechay Hazir - Jo Saltanat Agay Kar Gaay Thay

Yeh Unki Aamad Ka Dab Daba Tha - Nikhar Har Shay Ka Ho Raha Tha
Nujoom O Aflaak Jaam O Meena - Ujaltay Thay Khangal Tay Thay

Naqab Ultay Woh Mehr Anwar - Jalal Ruqsar Garmiyoun Par
Falak Ko Haibat Se Tap Chadi Thi - Tapaktay Anjum Ke Aablay Thay

Yeh Joshishe Noor Ka Asar Tha - Ke Aabay Gohar Kamar Kamar Tha
Safaay Rah Se Phisal Phisal Kar - Sitaray Qadmoun Pe Loat Te Thay

Badha Yai Lehra Kay Behre Wahdat - Kay Dhul Gaya Nam-E-Raig Kasrat
Falak Kay Tiloun Ki Kya Haqeeqat - Yai Arsho Kursi Do Bulbulay Thay

Woh Zille Rehmat Wo Rukh Ke Jalway - Ke Taray Chuptay Na Khilnay Paatay
Sunehri Zarbaft Oodi Atlas - Ye Than Sab Dhoop Chaoon Ke Thay

Chala Wo Sarwe Chamaan Khuraamaan - Na Ruk Saka Sidrah Se Bhi Daamaan
Palak Jhapakti Rahi Woh Kab Kay - Sabeen O Aan Say Guzar Chukay Thay
Jhalak Si Ek Qudsiyoun Par Aai - Hawa Bhi Daman Ki Phir Na Paee
Sawari Dulha Ki Door Pohnchi - Barat Main Hosh Hi Gaye Thay

Thakay Thay Rooh-Ul-Ameen Kay Bazoo - Chuta Woh Daman Kahan Woh Pehloo
Rikab Chooti Ummed Tooti - Nigah E Hasrat Ke Wal Walay Thay

Rawish Ki Garmi Ko Jis Nay Socha - Dimagh Say Ek Babuka Phoota
Khirad Ke Jangal Main Phool Chamka - Dahar Dahar Paidh Jal Rahe Thay

Jilo Mein Jo Murgh E Aqal Uday Thay - Ajab Buray Haloun Girtay Padhtay
Woh Sidrah Hi Par Rahe Thay Thak Kar - Chada Tha Dam Taiwar Aagaye Thay

Quwi Thay Murghan E Weham Ke Par Uday To Udnay Ko Aur Dham Bhar
Uthay Seenay Ki Aisi Thokar Ke Khoon E Andesha Thooktay Thay

Suna Ye Itnay Main Arsh E Haq Nay - Kaha Mubarak Houn Taj Walay
Wohi Qadam Khair Say Phir Aay - Jo Pehlay Taj E Sharf Teray Thay

Yeh Sun Ke Bay Khud Pukar Utha - Nisar Jaoon Kahan Hain Aqa
Phir Unke Qadmoun Ka Paoon Bosa - Yeh Meri Ankhon Ke Din Phiray Thay

Jhuka Tha Mujray Ko Arsh E Ala - Giray Thay Sajday Main Bazm E Bala
Yeh Ankhain Qadmoun Se Mal Raha Tha - Woh Gird E Qurban Ho Rahay Thay

Ziyaein Kuch Arsh Par Yeh Aain - Ke Sary Khandilain Jhil Milaeen
Huzoor Khursheed Kya Chamaktay - Chiragh Moon Apna Dekhtay Thay

Yahi Saman Tha Ke Paik E Rehmat - Khabar Yeh Laya Ke Chaliye Hazrat
Tumhari (S.A.W) Khatir Kushadah Hain Jo - Kaleem Par Band Rastay Thay

Badh Aye Muhammad (S.A.W) Qareeb Ho Ahmed - Qareeb Aa Sarwar E Mumajjad
Nisar Jaoon Yeh Kya Sada Thi Yeh - Kya Saman Tha Yeh Kya Mazay Thay

Tabarak Allah Shan Teri - Tujhi Ko Zaiba Hai Bey Niyazi
Kahin To Woh Josh E Lan Tarani - Kahin Taqazay Wisal Kay Thay

Khirad Say Keh Do Ke Sar Jhukalay - Guma Se Guzray Guzarnay Walay
Paday Hain Yan Khud Jihat Ko Lalay - Kisay Bataay Kidhar Gaay Thay

Suragh Een O Mutaa Kahan Tha - Nishan Kaif O Ila Kahan Tha
Na Koi Rahi Na Koi Sathi - Na Sang E Manzil Na Marhalay Thay

Udhar Say Peham Taqazay Aana - Idhar Tha Mushkil Qadam Badhana
Jalal O Haibat Ka Samna Tha - Jamal O Rehmat Ubhaarte Thay

Badhay To Laikin Jhi Jhaktay Dartay - Haya Se Jhuktay Adab Se Ruktay
Jo Khurb Unhi Ki Rawish Pe Rakhtay To Lakhon Manzil Kay Faslay Thay

Par Un Ka Badhna To Nam Ko Tha - Haqeeqatan Fayl Tha Udhar Ka
Tanazzuloun Main Taraqi Afza - Dana Tadalla Kay Silsilay Thay
Huwa Yeh Aqir Ke Ek Bajra - Tamawwuje Behr Hu Mein Ubhra
Dana Ki Godi Main Unko Laykar Fana Ke Langar Uthadiye Thay

Kise Mile Ghaat Ka Kinara - Kidhar Se Guzra Kahan Utara
Bhara Jo Misl E Nazar Tarara - Woh Apni Ankhon Se Khud Chupay Thay

Uthay Jo Khasr E Dana Ke Parday - Koi Khabar Day To Kya Khabar Day
Wahan To Jahi Nahin Doi Ki - Na Keh Ke Woh Bhi Na Thay Aray Thay

Woh Bagh Kuch Aisa Rang Laya - Ke Ghuncha O Gul Ka Farq Uthaya
Girah Mein Kaliyoun Ki Bagh Phoolay - Guloun Ke Tukmay Lagay Howay Thay

Muheet O Markaz Mein Farq Mushkil - Rahay Na Fasil Khutoot E Wasil
Kamaanain Hairat Mein Sar Jhukaay - Ajeeb Chakkar Mein Dairay Thay

Hijab Uthnay Mein Lakhon Parday - Har Ek Parde Mein Lakhon Jalway
Ajab Ghadi Thi Ke Wasl O Furqat - Janam Ke Bichday Galay Milay Thay

Zabanain Sukhi Dikha Kay Mojain - Tadap Rahi Theen Ke Pani Paein
Bhanwar Ko Ye Zauf Tishnagi Tha Ke Halqay Aankhon Main Padgaay Thay

Wohi Hai Awwal Wohi Hai Akhir - Wohi Hai Zahir Wohi Hai Batin
Usi Kay Jalway Usi Say Milnay - Usi Say Uski Taraf Gaye Thay

Kaman E Imkan Kay Jhootay Nukhto - Tum Awwal Aakhir Kay Phair Main Ho
Muheet Ki Chaal Say To Pucho - Kidhar Se Aaye Kidhar Gayay Thay

Idhar Say Theen Nazr E Sha Namazain - Udhar Say Inam E Khusrawi Main
Salam O Rehmat Kay Har Gundh Kar - Guloo Ay Pur Noor Main Padhay Thay

Zaban Ko Intizar E Guftan To Gosh To Hasrate Shuny Dan
Yahan Jo Kehna Tha Keh Lya Tha Jo Bat Sun Ni Thi Sun Chukay Thay

Woh Burj E Batha Ka Mah Para Behisht Ki Sair Ko Sidhara
Chamak Pe Tha Khuld Ka Sitara - Ke Us Khamar Ke Qadam Gaye Thay

Suroor Maqdam Ki Roshni Thi - Ke Tabishoun Say Mahay Arab Ki
Jinan Ke Gulshan Thay Jhad Farshi - Jo Phool Thay Sab Kanwal Banay Thay

Tarab Ki Nazish Ke Han Lachakiay - Adab Woh Bandish Kay Hil Na Sakiye
Yay Joshe Ziddayn Tha Ke Poday - Kasha Kashay Arrah Kay Talay Thay

Khuda Ki Khudrat Ke Chand Haq Kay - Karodoun Manzil Main Jalwah Kar Kay
Abhi Na Taroun Ki Chaoon Badly - Kay Noor Kay Tadkay Aa Liye Thay

Nabi E Rehmat Shafi E Ummat - Raza Pay Lillaah Ho Inayat
Usay Bhi In Khal Atoun Say Hissa - Jo Khas Rehmat Kay Wan Batay Thay

Sanaay Sarkar Hai Wazeefa - Qubool E Sarkar Hai Tamanna
Na Shairi Ki Hawas Na Parwa - Rawi Thi Kya Kaisay Qafiyay Thay
 

Important Notice:
Mediaislam.com is mainly optimized for Mozilla Firefox Browser. Please click the button below to download & install it. It's free, fast and simple to use.


Google

You need real player software to play the media files. Please click the image to download the free player
© mediaislam.com