HomeLive BroadcastAudio VideoBooksGalleryLyrics
Members Login | Not yet a member? Sign Up Now! It's Free!
Arabic
Hamd
Qaseeda
Salaam
Mawlid
Urdu
Naat Shareef
Salam
Qawwali Shareef
Hamd & Munajaat
Qaseeda
Ghazal
Mankabats
English
English Praise Songs
Tamil
இறைத் துதி
நாயகம் துதி
உர்து - தமிழ் புகழ்பா
ஸஹாபாக்கள்
இறை நேசர்கள்
புனித நாள்கள்
Punjabi
Naat Shareef
Kehnaa Ghalat Ghalat To Chupaana Sahi Sahi

tanhaii mein faryaad to kar sakta hun
weerane ko aabaad to kar sakta hun

jab chahuun tumhein mil nahin sakta lekin
jab chahuuN tumhein yaad to kar sakta hun


koi hanse to tujhe gham lage hansi na lage
ke dillagi bhi tere dil ko dillagi na lage

too roz roya kare utth ke chaand-raatoN mein
Khuda kare tera mere bagair jee na lage

acchi surat ko sanwarne ki zaroorat kya hai
saadgi mein bhi qayamat ki adaa hoti hai

tum jo aa jaate ho masjid mein adaa karne namaz
tumko maaloom hai kitnoN ki qazaa hoti hai



ye jo deewaane se do-chaar nazar aate hain
in mein kuchh saahib-e-asraar nazar aate hain

teri mehfil kaa bharam rakahate hain so jaate hain
warna ye log to bedaar nazar aate hain

mere daaman mein to kaanton ke siva kuch bhi nahin
aap phuuloN ke kharidaar nazar aate hain

hashr mein kaun gavaahii merii degaa Sagar
sab tumhare hi taraf-daar nazar aate hain



qasid payaam-e-khat ko dena bahut na tool
bas mukhtasar ye kehna ke aankhein taras gayi hain



kehnaa ghalat ghalat to chupaana sahi sahi
qasid kaha jo usne bataana sahi sahi

ye subah subah chehre ki rangat udee hui
kal raat tum kahaaN the bataana sahi sahi


maine poocha ke kal shab kahan the
pehle sharmaaye phir hans ke bole

baat kyun tum aisi poochte ho
jo bataane ke qabil nahin hai


ye udee udee si rangat, ye khule khule se gesu
teri subah keh rahi hai teri raat ka fasaana


na ham samjhein na tum aaye kahiin se
paseena pochiye apni jabiiN se



dil leke mera haath mein kehte hain mujhse woh
kya loge iske daam bataana sahi sahi

aankhein milaao ghair se to hum ko jaam-e-mai
saaqi tumhein qasam hai pilaana sahi sahi


nasha pila kar giraana to sabko aata hai
maza to tab hai jab girte ko thaam le saaqi


nasha imaan hota hai suraahi deen hoti hai
jawaani ki ibadat kis qadar rangeen hoti hai


sharab-e-naab ko do aatisha bana kar pila
jo sharaab kam hai to saaqi nazar mila kar pila


sharaab ka koi apna sarih-e-rang nahin
sharaab tajzia-e-ehtesaab karti hai
jo ahl-e-dil hain badhaati hai aabroo unki
jo be-shaoor hain unko kharaab karti hai


ai mai farosh bheed hai teri dukaan per
gaahak hain ham be-maal dikhaana sahi sahi


Sajid to jaan-o-dil se faqat aapka hai bad
kya aap bhi hain uss ke bataana sahi sahi


Important Notice:
Mediaislam.com is mainly optimized for Mozilla Firefox Browser. Please click the button below to download & install it. It's free, fast and simple to use.


Google

You need real player software to play the media files. Please click the image to download the free player
© mediaislam.com