HomeLive BroadcastAudio VideoBooksGalleryLyrics
Members Login | Not yet a member? Sign Up Now! It's Free!
Arabic
Hamd
Qaseeda
Salaam
Mawlid
Urdu
Naat Shareef
Salam
Qawwali Shareef
Hamd & Munajaat
Qaseeda
Ghazal
Mankabats
English
English Praise Songs
Tamil
இறைத் துதி
நாயகம் துதி
உர்து - தமிழ் புகழ்பா
ஸஹாபாக்கள்
இறை நேசர்கள்
புனித நாள்கள்
Punjabi
Naat Shareef
Tum Ek Gorakh-dhandha Ho

kabhi yahan tumhein dhuundha kabhi wahan pahuncha
tumhari deed ki khaatir kahan kahan pahuncha
gareeb mit gaye paamaal ho gaye lekin
kisi talak na tera aaj tak nishan pahuncha

ho bhi nahin aur har jaa ho

tum ek gorakh-dhandha ho

har zarre mein kis shaan se too jalwa numaa hai
hairaan hai magar ye aql kaisa hai too kya hai

tum ek gorakh-dhandha ho


tujhe dair-o-haram mein maine dhuundha too nahin milta
magar tashreef farma tujhko apne dil mein dekha hai

tum ek gorakh-dhandha ho

dhuudhe nahin mile ho na dhuundhe se kahin tum
aur phir ye tamasha hai ke jahan ham hain wahin tum

tum ek gorakh-dhandha ho

jab bajuz tere koi nahin hai maujood
phir samajh mein nahin aata hai tera pardaa karna

tum ek gorakh-dhandha ho

haram-o-dair mein hai jalwa-e-purfan tera
do gharon ka hai charagh ik rukh-e-raushan tera

tum ek gorakh-dhandha ho

jo ulfat mein tumhari kho gaya hai
usi khoye hue ko kuch mila hai

na butkhane mein na Kaabe mein mila hai
magar tuute hue dil mein mila hai

qadam ban kar kahin too chhup gaya hai
kahin too hast ban kar aa gaya hai

nahin hai tu to phir inkaar kaisa
nafi bhi tere hone ka pata hai

main jisko keh raha hun apni hasti
agar wo too nahiin to aur kya hai

nahin aaya khyaaloN mein agar too
to phir main kaise samjha too Khuda hai


tum ek gorakh-dhandha ho

hairaan hun is baat pe tum kaun ho kya ho
hath aao to butt,haath na aao to Khuda ho

tum ek gorakh-dhandha ho

aql mein jo ghhir gaya laa-intehaa kyun kar hua
jo samajh mein aa gaya phir wo Khuda kyun kar hua

tum ek gorakh-dhandha ho

falsafi ko bahas ke andar Khuda milta nahin
dore ko suljha raha hai aur siraa milta nahin

tum ek gorakh-dhandha ho

pataa yun to bata dete ho sabko laa-makaaN apna
tajjub hai magar rehte ho tum tuute hue dil mein

tum ek gorakh-dhandha ho

jab ke tujhe bin nahin koi maujood
phir ye hangama ai Khuda kya hai ??

tum ek gorakh-dhandha ho

chhupte nahin ho saamne aate nahin ho tum
jalwa dikha ke jalwa dikhaate nahin ho tum
dair-o-haram ke jhagde mitaate nahin ho tum
jo asl baat hai wo bataate nahin ho tum
hairaan hun mere dil mein samaye ho kis tarah
haalanki ke do jahan mein samaate nahin ho tum
ye maabad-o-haram ye kalisa-o-dair kyun
harjai ho tab hi to bataate nahin ho tum

tum ek gorakh-dhandha ho

dil pe hairat ne ajab rang jama rakha hai
ek uljhi hui tasveer bana rakha hai
kuch samajh mein nahin aata ke ye chakkar kya hai
khel kya tumne azal se ye racha rakha hai
rooh ko jism ke pinjade ka bana kar qaidi
us pe phir maut ka pehraa bhi bitha rakha hai
de ke tadbeer ke panchhi ko udaanein tumne
taam-e-takdeer mein har simt bana rakha hai
kar ke aaraaish-e-koanain ki barsoN tumne
khatm karne ka bhi mansooba bana rakha hai
laa-makaani ka baharhaal hai daawa bhi tumhein
nahn-o-akrab ka bhi paighaam suna rakha hai
ye bhalaai wo buraai ye jahannum wo bahisht
is ulat pher mein farmaao to kya rakha hai
jurm Aadam ne kia aur saza betoN ko
adl-o-insaaf ka maiyyar bhi kya rakha hai
de ke insaan ko duniya mein khilafat apni
ek tamasha sa zamaane mein bana rakha hai
apni pehchaan ki khatir banaya sabko
sabki nazron se lekin khud ko chhupa rakha hai

tum ek gorakh-dhandha ho

nit naye naqsh banaate ho mitaa dete ho
jaane kis jurm-e-tamanna ki sazaa dete ho
kabhi kankad ko bana dete ho heere ki kani
kabhi heeroN ko bhi mitti mein milaa dete ho
zindagi kitne hi murdoN ko ataa kee jisnein
us maseeha ko bhi sooli pe sajaa dete ho
khwaish-e-deed jo kar baithe sar-e-Toor koi
Toor hi barq-e-tajalli se jalaa dete ho
naar-e-Namrood mein dalwaate ho khud apna Khaleel
khud hi phir naar ko gulzaar bana dete ho
chahe kin aan mein phekhon kabhi maah-e-kin'aaN
noor Yaqoob ki aankhoN ka bujha dete ho
becho Yusuf ko kabhi Misr ke baazaaron mein
aakhir-e-kaar shah-e-Misr bana dete ho
jazbo-masti ki manzil pe jo pahuncta hai koi
baith kar dil mein 'anal-haq' ki sadaa dete ho
khud hi lagwaate ho phir kufr ke fatwe us per
khud hi Mansoor ko sooli pe chadhaa dete ho
apni hastii bhi phir wo ek roz ganwaa baith-ta hai
apne darshan ki lagan jisko lagaa dete ho
koi raanjha jo kabhi khoj mein nikle tun kar
tum use Jhang ke vele mein ulaa dete ho
justujoo leke tumhari chale jo Qais koi
usko MajnuuN kisi Laila ka bana dete ho
jyot Satsi ki agar mann mein tumhari jaage
tum use tapte hue thal mein jala dete ho
Sohni gar tumko Mahiwaal tasavvur kar le
usko bhipri hui lehroN mein baha dete ho
khud jo chaaho to bula kar sar-e-arsh mehboob
ek hi raat mein meraj kara dete ho

tum ek gorakh-dhandha ho

aap hi apna parda ho

tum ek gorakh-dhandha ho


jo kehta hun maana tumhein lagta hai buraa sa
phir bhi mujhe tumse hai bahar-haal gilaa sa
chup chaap rahe dekhte tum arsh-e-bariin per
tapte hue Karbal mein Muhammad ka nawaasa
kis tarah pilaata tha lahuu apna wafa ko
khud teen dinons se wo agarche tha pyaasa
dushman to bahar-kaul the dushman magar afsos
tumne bhi na faraham kia paani zara sa
har zulm ki taufiq hai zaalim ki virasat
mazloom ke hisse mein tasalli na dilaasa
kal taaj saja dekha tha jis shaks ke sar per
hai aaj usee shaks ke haathoN mein hi kaasa
ye kya hai agar poochuN to kehte ho jawaban
is raaz se ho sakta nahin koi shanaasa

tum ek gorakh-dhandha ho

hairat ki ik duniya ho

tum ek gorakh-dhandha ho

har ek jaan pe ho lekin pata nahin maaloom
tumhara naam suna hai lekin nishaan maaloom

tum ek gorakh-dhandha ho

Important Notice:
Mediaislam.com is mainly optimized for Mozilla Firefox Browser. Please click the button below to download & install it. It's free, fast and simple to use.


Google

You need real player software to play the media files. Please click the image to download the free player
© mediaislam.com