HomeLive BroadcastAudio VideoBooksGalleryLyrics
Members Login | Not yet a member? Sign Up Now! It's Free!
Arabic
Hamd
Qaseeda
Salaam
Mawlid
Urdu
Naat Shareef
Salam
Qawwali Shareef
Hamd & Munajaat
Qaseeda
Ghazal
Mankabats
English
English Praise Songs
Tamil
இறைத் துதி
நாயகம் துதி
உர்து - தமிழ் புகழ்பா
ஸஹாபாக்கள்
இறை நேசர்கள்
புனித நாள்கள்
Punjabi
Naat Shareef
Ye Jo Halka Halka Suroor Hai

saaqii ki har nigaah pe bal khaa ke pee gayaa
laharoN se khelataa huaa lahraa ke pee gayaa

( I drank in awe of every glance of the cup-bearer
I drank playfully while playing with waves of joy )

ai rahmat-e-tamaam meri har khata muaaf
main intehaa-e-shauq mein ghabraa ke pee gaya

( O all-merciful !! please forgive all my wrong-doings
I drank confounded of the extreme desire )

peetaa beghair izn ye kab thii meri majaal
dar-pardaa chashm-e-yaar kii shah paa ke pee gayaa

( I do not dare to drink without permission
but the patronage of concealed eyes of my beloved made me drink )

zaahid ye merii shokhi-e-rindaana dekhnaa
rahmat ko baaton baaton mein bahlaa ke pee gayaa

( O abstinent !! look at the mischievousness of my drinking
I drank after I befriended forgiveness )



oodi oodi ghataein aati hain
mutriboN ki nawaein aati hain

( purple clouds are over-cast
and musicians sing )

kis ke gesu khule hain saawan mein
mehki mehki hawaein aati hain

( whose tresses are open in the rainy season
the air smells so good )

aao sehn-e-chaman mein raqs karein
saaz lekar ghatein aati hain

( let's dance in the courtyard of garden
the clouds brings music with them )

dekh kar unki ankhadioN ko Adam
maikadoN ko hawaein aati hain

( after seeing her eyes O Adam !!
I can feel the ambience of wine-house )



paas rehta hai duur rehta hai
koi dil mein zaroor rehta hai

( near or far
someone do lives in my heart )

jab se dekha hai unki aaknhoN ko
halka halka suroor rehta hai

( since I have seen her eyes
I remain mildly intoxicated )

aise rehte hain wo mere dil mein
jaise zulmat mein noor rehta hai

( my beloved lives in my heart, like
light lives in darkness )

ab Adam ka wo haal hai har qadam
mast rehta hai choor rehta hai

( Adam is of such a disposition that
he remains intoxicated and and ecstatic )


ye jo halka halka suroor hai
ye teri nazar ka qusoor hai
ke sharaab peena sikha dia

( this mild intoxication
is due to your eyes,
that taught me drinking )

tere pyaar ne teri chaah ne
teri behki behki nigaah ne
mujhe ek sharaabi bana dia

( your love and your longing
your intoxicating glances
made me a drunkard )

sharaab kaisi khumaar kaisa
ye sab tumhari nawazishein hain
pilayi hai kis nazar se tuune
ke mujhko apni khabar nahin hai

( what wine, what intoxication
all this is your kindness
you served me in such a manner with your eyes
that I do not remember myself )

saara jahaan mast jahaan ka nizaam mast
din mast raat mast sahar mast shaam mast
mast sheesha mast suboo mast jaam mast
hai teri chashm-e-mast se har khaas-o-aam mast

( the whole world is ecstatic, the order of the worl is ecstatic
day is ecstatic, so is dawn and so is evening
glass,cup and wine are all ecstatic
because of your intoxicating eyes, everyone and everything is ecstactic )

ye jo saqi har tarah ki tere maikhaane mein hai
wo bhi thodi si jo in aankhon ke paimaane mein hai

( of all the wines which you have in your wine-house
serve me a little from your eyes )


sab samajhta hun teri ish (??) nazar ai saqi
kaam karti hai nazar naam hai paimaane ka

( I understand all the methods of your glances
they cause intoxication instead of wine )

tera pyaar hai bas meri zindagi

( my life is only your love )

na namaz aati hai mujhko na wuzoo aata hai
sajdaa kar leta hun jab saamne too aata hai

( neither I know prayers not ablutions
I prostate whenever you come in front of me )

main azal se bandaa-e-ishq hun
mujhe zuhd-o-kufr ka gham nahin
mere sar ko dar tera mil gaya
mujhe ab talash-e-haram nahin

( I am a servant of love since the beginning of life
I do not care for piousness or irreligiousness
my head has found your house
now I do not search for the mosque )

meri bandagi hai wo bandagi
jo ba qaid-e-dair-o-haram nahin
mera ik nazar tumhein dekhna
baa Khuda namaz se kam nahin

( my devotion is such devotion
that is not bound by the mosque and the temple
when I sight you once
by God, it is no less than a prayer )


tera pyaar hai bas meri zindagi

( my life is only your love )

qayamat mein tera dagh-e-muhabbat lekar uthuunga
teri tasveer us dam bhi kaleje se lagi hogi

( On the day of judgement, I will rise with the scars of your love
your image will be clinging to my heart on that day too )

kyunki

( because )

tera pyaar hai bas meri zindagi

( my life is only your love )

teri yaad hai meri bandagi
jo teri khushi wo meri khushi
ye mere junoon ka hai moajzaa
jahan apne sar ko jhuka dia
wahan maine Kaaba bana dia

( your rememberance is my prayer
your wish is my wish
this is the miracle of my frenzy
that where ever I prostated
I made a mosque there )


mere baad kisko sataaoge ??

( to whom you will inflict pain after me ?? )

dil jaloN se dil lagi acchi nahin
rone waloN se hansi acchi nahin
dillagi hi dillagi mein dil gaya

( it is not nice to play with the emotions of sufferers
it is not nice to laugh at the mourners
I lost my heart in play )

Oh mere dil gaya dil gaya dil gaya

( my heart is gone, O , gone is my heart )

Khuda ke liye apni nazroN ko roko warna
mera dil gaya dil gaya dil gaya

( for God's sake change your glances, else
my heart is gone, my heart is gone )

meri tarah Khuda kare tera bhi kisi per aaye dil
too bhi kaleja thaam ke kehta phire ke haye dil

( I pray to God that you also fall in love with someone
and you also suffer in separation with hands on your heart )

mera dil gaya dil gaya dil gaya

( my heart is gone, O , gone is my heart )

dillagi hi dillagi mein dil gaya
dil lagaane ka nateeja mil gaya
main to rota hun ke mera dil gaya
tum kyuN hanste ho tumhein kya mil gaya ??

( I lost my heart just in fun
and got the measure of falling in love
though I cry because my heart is lost
why do you cry, what did you get ?? )

accha phir.....

( okay then..... )

mere baad kisko sataaoge ??
mujhe kis tarah se mitaaoge
kahan jaa kar teer chalaoge
meri dosti ki balayein lo
mujhe hath utha kar duaayein do
tumhein ek qaatil bana dia

( to whom you will inflict pain after me ??
how will you remove me from your life
where will you cast those arrow like glances
value my friendship
that helped you to gain killer-instinct )

mujhe dekho khwaish-e-jaan-e-jaaN
main wahi hun Anwar-e-neem jaan
tumhein itna hosh tha jab kahaan
na chalao is tarah tum zubaaN
karo mera shukria meherbaaN
tumhein baat karna sikha dia

( watch here, O desire of the life of my life
I am the same suffering Anwar
you did not even had senses that time
don't argue with me in such a manner
offer thanks to me
that I helped you become well versed in speaking )

ye jo halka halka suroor hai
ye teri nazar ka qusoor hai
ke sharaab peena sikha dia

( this mild intoxication
is due to your eyes,
that taught me drinking )

Important Notice:
Mediaislam.com is mainly optimized for Mozilla Firefox Browser. Please click the button below to download & install it. It's free, fast and simple to use.


Google

You need real player software to play the media files. Please click the image to download the free player
© mediaislam.com