HomeLive BroadcastAudio VideoBooksGalleryLyrics
Members Login | Not yet a member? Sign Up Now! It's Free!
Arabic
Hamd
Qaseeda
Salaam
Mawlid
Urdu
Naat Shareef
Salam
Qawwali Shareef
Hamd & Munajaat
Qaseeda
Ghazal
Mankabats
English
English Praise Songs
Tamil
இறைத் துதி
நாயகம் துதி
உர்து - தமிழ் புகழ்பா
ஸஹாபாக்கள்
இறை நேசர்கள்
புனித நாள்கள்
Punjabi
Naat Shareef
Shaian Lillah Ya Abdal Qadir - Saqeenal Bagdad Ya Shaikhal Jeelani
Author: Hasan

Shaian Lillah Ya Abdal Qadir - Saqeenal Bagdad Ya Shaikhal Jeelani

Asiro(N) Ke Mushkil Kusha, Ghause A’zam
Asiro(N) Ke Mushkil Kusha, Ghause A’zam

Faqiro(N) Ke Haajat Rawa, Ghause A’zam
Ghira Hai Balaao(N) Mei(N), Banda Tumhaara

Tere Haath Mei(N) Haath, Mayne Diya Hai
Tere Haath Hai Laaj, Ya Ghause A’zam

Murido(N) Ko Khatra Nahi(N), Behre Gham Se
Ke Bere Ke Hai(N) Naakhuda Ghause A’zam

Tumhi Dukh Suno Apne Aafat Zado(N) Ka
Tumhi Dard Ki Do, Dawa Ghause A’zam

Bhanvar Mei(N) Pha(N)Sa Hai, Hamaara Safina
Bacha Ghause A’zam, Bacha Ghause A’zam

Zamaane Ke Dukh Dard Ki Ranjo Gham Ki
Tere Haath Mei(N) Hai, Dawa Ghause A’zam

Pha(N)Sa Hai Tabaahi Mei(N), Bera Hamaara
Sahaara Laga Do, Zara Ghause A’zam

Mashaaikh Jahaa(N) Aaei(N), Behre Gadaai
Woh Hai Teri Daulatsara, Ghause A’zam

Meri Mushkilo(N) Ko Bhi Aasaan Kijiye
Ke Hai(N) Aap Mushkil Kusha, Ghause A’zam

Wahaa(N) Sar Jhukaate Hai(N), Sab Unche, Unche
Jahaa(N) Hai Tera Naqshe Paa, Ghause A’zam

Kahe Kis Se Jaakar, Hasan Apne Dil Ki
Sune Kaun Tere Siwa, Ghause A’zam

Important Notice:
Mediaislam.com is mainly optimized for Mozilla Firefox Browser. Please click the button below to download & install it. It's free, fast and simple to use.


Google

You need real player software to play the media files. Please click the image to download the free player
© mediaislam.com